Diwali Se Jude 13 Less-Known Facts!

Happy Diwali

Bharat mein kai manyataon aur sanskritiyon ke log ek sath rehte hain. Jinme humein kai alag-alag tarah ke tyoharon ke bare me jankari milti hai. In mein sabse khoobsurat tyohar hai humari, aapki aur sabki Diwali. Deepawali mein kona-kona roshani se jagmaga uthta hai. Aur isi wajah se iski khoobsurti ka koi mukabla nahi hai.

Waise to Diwali ek Hindu festival hai. Lekin is Dipotsav ka zikr kai pracheen granthon mein dekhne milta hai. Anekon dharm granth Dipawali ka aitihasik mahatwa batate hain. Aaiye jaante hain Diwali se jude kuch tathya.

1.Bhagwan Vishnu

Bhagwan Vishnu ne 3 pag mein teeno lokon ko naap liya tha. Aur Raja Bali ki daanshilta se prabhavit hokar, Bhagwan Vishnu ne unhein Pataal Lok ka pura rajya de diya. Sath hi yah bhi kaha ki unki yaad mein prithvi lokvaasi har varsh Deepawali manayenge.

2.Gautama Buddha

Baudhh dharm ke pravartak Gautam Buddh the. Jin ke samarthakon ne 2500 saal pehle Gautam Buddh ke swagat mein laakhon deep jala kar Deepawali manai thi.

3.Mohenjo-daro Sabhyata

500 B.C. pehle ki Mohenjo-daro sabhyata mein bhi Diwali manayi jaati thi. Iska saboot avsheshon mein mile mitti ki ek murti mein hai. Jis murti ke matri-devi ke dono taraf diye jalte dikhai dete hain.

4.Golden Temple

Amritsar ke Swarn Mandir yani Golden Temple ka nirman-karya bhi Deepawali ke pawan din par shuru hua tha.

5.Shri Krishna

Yah bhi kaha jata hai ki Shri krishna ne Aatatai Nakasur jaise dusht rakshas ka vadh kiya tha. Tab Braj-vaasiyon ne unke prati apni khushi jaahir ki. Wah bhi Deep jala kar.

6.Bahadur Shah Zafar

Agar apko lagta hai ki diye sirf Hindu jalate hain to aap galat hain. Mughal vansh ke akhri samrat Bahadur Shah Zafar Diwali ko tyohar ki tarah manate the. Yahan tak ki kai karyakramon ka ayojan bhi kiya jata tha.

7.Lal Qila

Shah Alam IInd ke waqt purey mahal ko diye jala kar sajaya jata tha. Sath hi Lal Qiley mein ayojit karyakramon mein Hindu aur Musalman dono hi bhag lete the.

8.Samrat Akbar

Mughal Samrat Akbar dwara daulat-khane ke samne 40 gaj unche baans par ek bada akashdeep Diwali ke din latkaya jata tha. Badshah Jahangir bhi Deepawali aise hi dhoom-dhaam se manate the.

9.Raja Vikramaditya

Samrat Vikramaditya ka rajyabhishek Diwali ke pawan din ko hi sapann hua tha. Aur isi khushi mein deepak jala kar khushi ka izhaar kiya gaya tha.

10.Maharshi Dayanand

Maharshi Dayanand Saraswati ne Deepawali ke pavitra din ko Ajmer ke paas avsaan liya tha. Inhone hi Arya Samaj ki sthapna ki thi.

11.Lakshmi Poojan

Alag-alag manyataon ke bare mein jaan-ne ke baad ek baat hum Hindu dharm ki bhi kar lete hain. Maa Durga ne rakshason ka vadh karne ke liye Mahakali ka roop dharan kiya. Kintu unka vadh karne ke baad bhi Mahakali ka krodh kam na hua. Aur tat-pashchat Bhagwan Shankar unke charano mein let gye. Bhagwan Shiv ke sparsh se achanak hi Mahakali ka krodh samapt ho gaya. Isi yaad mein unke shaant roop Maa Lakshmi ki pooja ki shuruwaat hui.

12.Sikhism

Sikh samuday ke 6th Guru Hargovind Singh Ji Jahangir the. Wah Kartik Amavasya ke din kaid se azad ho kar Amitsar laute the.

13.Maryada Purushottam Shri Ram

Aur aakhir mein sabse lokpriya kahani. Tretayug mein Bhagwan Ram jab Rawan ko harakar aur Mata Sita ke sath Ayodhya laute the. Tab unke aagman par Ayodhya-vasiyo ne deep jala kar unka swagat kiya tha. Aur isi khushi me hum aaj bhi Diwali manate hai.

Click here to join our Telegram Channel for more Loots & Deals

Aaj aapne Diwali se judi alag-alag maanyataon ke baare mein jaana. Wakai yah kehna galat nahi hoga ki alag dharm ke hone ke bawajood puri manav jaati kahin na kahin ek dusre se judi hui hai.

Ghoomantar ki taraf se aap sabhi ko Diwali ki Dhero Shubhkamanayein. Apko humara yah article kaisa laga humein comment kar ke zaroor btayein. Aur aise hi rochak tathya aur kahaniya padhne ke liye humse jude rahe.

Dhanyawad!

Have a Happy And Safe Diwali!


Also Read : Halloween Kya Hai? – (What is Halloween?)

Click Here to Shop on Amazon for Great Offers and Deals

Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *