Monolith Kya Hai? Kyu Dikh Rahe Hai Yah Duniyabhar Me?

Kya aapne kabhi aisa koi structure dekha hai jisey dekh kar lagta ho ki yah insaan nahi bana sakta ? Ji nahi, hum Pyramids ki baat nahi kar rahe hain. Humara matlab hai Monolith se, jo aajkal duniya bhar mein dekhe jaa rahe hain.

Aaj ki mazedar post mein hum jaanenge ki Monolith hote kya hain. Aur kya ye Hindustan mein bhi mile hain. Chaliye shuru karte hain.

Monolith Kis Bala Ka Naam Hai ?

Arthur C. Clarke ki “2001: A Space Odyssey” ke mutabik Monolith ek metal structure hota hai. Aur wah ek machine ki tarah kaam karta hai sath hi Human ke evolution mein bhi madadgar sabit hota hai.

2020 saal hum sab ke liye mila-jula experience ka raha hai. Iss ke khatm hote-hote Monolith jaisi ajeeb-o-gareeb chiz duniya bhar mein dikhai dene lagi. Chaliye jante hain ki khabar akhir hai kya ?

Monolith Ki Khabar

Monolith ki ghatna tab se shuru hui jab America ke Utah namak desert mein raaton raat yah prakat hua. Yah ghatna 18 November, 2020 ki hai. Lekin sirf yahin nahin, iske thik 10 din baad raat ke waqt 4 log aaye aur us achanak prakat huye Monolith ko wahan se ukhadkar ley gaye.

Aapko batate chalein ki yah ek prism ke akaar ka triangular structure tha. Jisey metal ki plates se banaya gaya tha.

Fir bhi yah kaise uss registan me prakat hua, yah aaj tak ek rahasya hi bana hua hai.

Utah ki ghatna ke baad lagbhag duniya ke 30 jagahon par Monoliths milne ki khabar batayi jaa rahi hai. Romania, Netherlands, Poland aur yahan tak ki humare desh mein bhi. Ji haan, Bharat mein Gujarat ki rajdhani Ahmedabad ke “Symphony Park” mein yah dekha gaya hai.

Ahmedabad ke monolith ki lambai lagbhag 8 foot ki batayi jaa rahi hai. Aur yah bhi achanak prakat huye monoliths mein se ek hai.

Halaki park ki authorities se baat karne par pata chala hai ki yah koi alien structure nahi hai. Balki isey park banane wale Bakeri Group walo ne rakha hai. Kyunki wo apne har construction par ek aisa sculpture ya structure rakhte hain.

Jahan tak baat duniya bhar mein mile is ajeeb se dikhne wale object ki hai. Kai baar aapko yah ek alien construction lagega to kai baar manav-nirmit.

Aliens Ka Itihaas

Aliens

Agar hum baat karein Aliens ke existence ki to mili-juli pratikriya paayi jaa sakti hain. Jaise Roswell UFO Incident ek tarah se humein Aliens ke hone ka saboot deta hai. Jiske baare me puri jankari aap hamari website par padh sakte hain. Aur agar dusri taraf aate hain to kai legends ne humesha Aliens ke hone ko nakara hi hai. Unka kehna hota hai ki agar wah hote to humse zaroor contact karte aur sabke samne bhi aate.

Alien Structure ki baat karein to Salisbury, England mein Stonehenge ko bhi yaad karna zaruri hai. Iski khas baat yah hai ki iski banawat 13-14 foot ke bade-bade pattharon se bani hai. Aur sabse chaukane wali baat to yah hai ki itna sab kuch 4000-5000 saal pehle kar liya gaya tha.

Ji haan itna pracheen hone ke baad ek sawal to humare dil me zaroor aata hai. Wo ye ki jab itne sansadhan nahi the, aise me itna bada structure banana kaise mumkin ho sakta hai. Aur isliye kai log isey Alien Structure bhi kehte hain.

Prithvi Ke Alawa Kahin Jeewan Hai ?

NASA ke ek research ke madhyam se hamein pata chalta hai ki humari akashganga mein 400 arab grah aur taarein hain. Aur inme se karib 160 arab grahon par jeewan ki sambhavna hai.

Itni badi akashganga me ek chhote se grah pe rehne wale hum insaano ko shayad andaza bhi nahi hoga ki dusre grahon par jeewan hai ya nahi. Aur hai to kitna.

Aliens ke bare mein kai tarah ki baatein kahi jati hai. Jaise yah ki unse baat ho chuki hai lekin government authorities iske bare me sabko batana nahi chahti. Kyunki zahir si baat hai ki logo mein darr fail sakta hai.

Humne movies mein bhi aliens ke hone ki kalpna ko jeeya hai. Aur adhiktar humne dekha ki unhe dharti par kabza hi karna hota hai. Aur shayad hum kahin na kahin is chiz se darte hain.

Khair, ye to rahi darr ki baat. Lekin agar hum is vishay par vaigyanik taur se dhyan dein to kuch baatein saaf ho sakti hain. Ho sakta hai Pargrahi humari sahayata karein. Jaise agar wo vaigyanik taur par humse bhi aage honge, to hum unke tarike aur technology ko use karke kam samay mein apna evolution pura kar sakte hain. Yah manav jaati ke liye kaafi mahatwapurn samay ho sakta hai.

Sath hi agar kisi grah ke aliens se zyada viksit hum dharti wale huye to bhi ho sakta hai unke sansadhano ka upyog karke hum unke sath-sath khud ka bhi development kar payein.

Sambhavnayein to bahot hain aur ho sakta hai aane wale kuch ek saalon mein yah sach bhi ho jaye.

Humare Vichar

Doston, aaj humne jaana ki duniya bhar mein kitni hi ashcharyajanak chizen ho rahi hain. Aur aane wale bhavishya mein issey bhi zyada hone ki sambhavna hai. Aap maane ya naa maane lekin iss brahmand mein humare aur aapke alawa kisi aur prajati ke hone ki puri sambhavna hai. Aur humein in chizon ke liye taiyar rehna hoga. Ho sakta hai khoji jane wali species hum insaano ko bahot kuch sikha de aur humare evolution mein madad karey. Kyuki evolution hi ek aisa tarika hai jiski madad se hum aage aur aage badh sakte hain. Apne avishkaron mein ya apni khojon mein. Ho sakta hai aane wale kuch saalon me zindagi jeena aur bhi aasaan ho jaye.

Aap space ki baat karein ya samandar ki ya fir pahadon ki, in sab mein anginat tathya hain jo mamuli insaano ke alawa vaigyanikon ko bhi soch mein daal deti hai.

Khair jo bhi ho, yah duniya bahot rahasyamayi hai aur samay ke sath-sath iske layers bhi humare samne aate jaayenge. Chaliye intzar karte hain. Ummid karte hain manav jaati ke sath kuch acha hi ho.

Apko humara yah article kaisa laga humein comment karke zaroor bataiyega. Aise hi duniyabhar ki romanchak aur rahasyamayi kahaniya padhne ke liye humse jude rahe. Aur humein social media par follow karna naa bhulein.

Dhanyawad!


Also Read: Aliens Ka Rahasya Aur Roswell UFO Incident Ka Sach

Click Here to Shop on Amazon for Great Offers and Deals

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *