5 Android Applications Jo Apki Zindagi Asan Kar Denge – 5 Useful Android Apps

iOS aur Android Apps ke zamane mein jahan smartphone har ek ke paas hota hai. Wahin humne apne phone se na jane kitni chizein karna sikh liya hai. Koi PUBG jaise games khel kar time pass karta hai to koi Instagram par naye-naye business ideas launch kar raha hai.

Isi soch ke sath hum apke liye laye hai aise 5 Useful Android Apps jo hai kafi productive. In apps ki madad se aap apne samay aur paise dono ki bachat kar sakte hai. To chaliye jante hai kon hai wo 5 Useful Android Apps jo apki life ko aur bhi asan bana denge.

1. Headspace

Agar aap stressed hain. Aur apne busy schedule mein kaafi problems ki wajah se mann ko shant nahi rakh paa rahe hain to yah app apke life mein ek achchi value add kar sakta hai.

Iss app mein chhoti magar powerful exercises hain jinki practice karke aap bahot ache tarike se meditate kar sakte hain.

Matlab agar apke paas 10 minute bhi hain to usme aap ek achchi meditation technique ka prayog kar sakte hain. Aur meditation se mann kitna shant ho sakta hai yah aap khud hi mehsus kar lenge.

To der mat kijiye, android ka yah behtareen app zaroor download karein aur humein batayein ki apko kaisa laga meditation kar ke.

2. Google Keep

Notes aur reminder ke liye Play Store par apko anginat apps mil jayenge. Lekin Google Keep ek aisa application hai jisme bahot hi simple layout mein apko kai tarah ke features mil jate hain.

Google Keep mein reminders ke sath photos bhi add kar sakte hain. Drawing aur Transcriptions jaise features bhi dusri apps se isko kaafi alag bana dete hain.

Google Keep ki sabse badi khasiyat yah hai ki isey aap apne Google ID se sync kar sakte hain aur mobile ho ya pc, jis par bhi chahein access kar sakte hain.

Agar apko bahot saare notes aur reminder ya drawings create karni aur save rakhni hoti hai to jaldi hi iss app ko download karein aur humein batayein ki apko yah kaisa laga.

3. Khata Book

Hum apne roz-marra ke jiwan mein na jane kitne hi financial transactions yaani paise ka len-den karte hain. Aur kai baar humein yaad nahin rehta ki kise kitne paise lene hain ya kitne dene hain.

Aap apne purane udhar bahi khata ko bhulkar yah Khata Book istemal kar sakte hain. Kyunki ye hain 100℅ safe and secured.

Yahi nahi, aap iss ek app mein ek se zyada shop ka hisab kitab rakh sakte hain. Aur apne sabhi customers ko payment reminder bhi sent kar sakte hain.

Yakin maaniye yah ek app aapki kai mushkilein aasan kar sakta hai.

Hisab kitab pukhta rakhne ke liye jaldi hi iss app ko download karein. Aur humein batayein ki apko yah app kaisa laga.

4. Duolingo

Duolingo
Photo by Duolingo on Google Play

Humne koshish ki hai ki har tarah ke logon ke liye applications recommend kar sakein. Toh hum unhe kaise chhor sakte hain jo kuch sikhnna chahte hain.

Spoken English ke sath hi 30 aur bhi bhashayein sikhna chahte hon to ye app turant play store se download kar lijiye.

Duolingo mein chhote-chhote exercises aur lessons hain jo ek fun tarike se koi bhi bhasha sikhane mein saksham hai. Duolingo ka maan-na hai ki 34 ghante iss application pe padhna University ke ek purey semester ke barabar hota hai. To hai na mazedar chiz.

Aur sabse zabardast baat to hum apko batana bhul hi gaye. Wo ye ki ye app puri tarah se muft hai. Ji haan! Free!

Hindustani hone ke naatey ye chiz sabse zyada aakarshit karne wali hai. To chaliye shuru karte hain English ya dusri koi nayi bhasha.

5. Groww

Groww Android Apps
Photo by Groww on Google Play

Salaries ke alawa kisi investment ke return aate rahein to kitna maza aayga na. Lekin aise investment ke liye koi aisa Financial Planner ya agent dhundna hoga jo humare paise ko sahi jagah laga kar return bhi dila de aur zyada charges bhi na ley.

Fir to humara Groww app iske liye perfect hai. Aaj kal ki tez duniya mein jab internet ki madad se koi bhi kuch bhi kar sakta hai to investment kyun nahi. Groww ne purane tarike ke investing ko badal ke rakh diya hai.

Apko sirf app par register karna hai uske baad KYC bas fir kya. Apka profile investment ready ho jayega. Fir apko Mutual Fund SIP mein invest karna ho ya share market ke stocks, apko sab milega yahan par.

Baaki agent ki tarah Groww app kisi bhi tarah ke charges bhi nahi leta aur customer service bhi deta hai.

Matlab apka paisa apko jahan lagana hai lagao aur extra income ke liye kisi bhi 3rd party agent par nirbhar mat raho.

Jaldi download kijiye yah app aur return kamana shuru kijiye aaj se hi!

Toh aaj humne aisi 5 Useful Android Apps ke bare mein jaana jo humare roz marra ke jiwan mein kaafi faaydemand sabit ho sakti hai. To intezaar kis baat ka hai? Jaiyein in 5 Useful Android Apps me se apne pasand ke Android Apps ko download kariye. Aur aap ka kya sochna hai in apps ke bare mein aur koi post suggestions ho to comment ya email ke madhyam se humein zaroor batein.

Tab tak tata!!


Also Read : Aliens Ka Rahasya Aur Roswell UFO Incident Ka Sach

Click Here to Shop on Amazon for Great Offers and Deals

Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *