Halloween Kya Hai? – (What is Halloween?)

Happy Halloween

Hindustan mein rehne ke baad aapne kai tarah ke tyoharon ke bare me suna hoga. Aur sirf suna hi nahi manaya bhi hoga. Hum Hindustani tarah-tarah ke parv aur tyoharon ko bade hi ullas ke sath manate hai. Jaha diwali me diyon ki raushani se hum burayi pe achai ki jeet ka jashn manate hai. Wahi Holi me rang-birange gulal ke sath fagun gane ka riwaz hai. Lekin kya apne Halloween naam ke tyohar ke bare me suna hai? Agar nahi suna to hum apko batayenge ki Halloween kya hota hai. Aur isse judi har baat. To chaliye shuru karte hai.

Halloween ek aisa tyohar hai jisme log sundar-sundar kapde nahi balki darawani aur bhooton ki wesh-bhusha wale kapde pehnte hai. Aur itna hi nahi, wah apne gharo ki sajawat bhi isi andaaz me karte hai.

Halloween ek scottish term All Hallows’ Eve (Hallows ka matlab hota hai pavitra insan) se nikla hua shabd hai jiska arth hota hai All Hallows’ Day ke pehle ki shaam. Ise aur bhi kayi naamo se jana jata hai jaise Allhalloween, All Hallows’ Eve, Hallow’een, All Saint’s Eve. 

Halloween Kya Hota Hai? 

Halloween pashchimi sabhyata ka bahot hi lokpriya tyohar hai. Mana jata hai ki Halloween 2000 saal pehle Scotland aur Ireland se shuru hua tha. Halloween ki parampara pracheen Celtic tyohar Samhain ki upaj hai. Samhain ek Celtic tyohar hai jise Gaelic parampara ko manne wale manate the. Jisme log lakdiya jalate the aur tarah tarah ki wesh-bhoosha wale kapde pehan kar bhooton se khud ki raksha karte the.

Halloween har saal 31 October ko manaya jata hai.  Aur iske ek din baad yani 1 November ko All Saint’s Day celebrate kiya jata tha. All Saint’s Day ko Celtic log New Year ke roop me bhi manate the.

8th century me Pope Gregory III ne 1 November ka din Saints ke samman ke liye chuna tha. Jise hum aaj All Saint’s Day ke roop me jante hai. Baad me All Saint’s Day ne Samhain ke kuch reeti-riwazo ko apna liya. Aur ab yah har saal 31 Octobar ko Halloween ke roop me manaya jata hai.

Scotland aur Irland mein Halloween ki shuruwat ke baad yah itna prachalit hua ki isey US, Canada, UK, New Zealand aur Australia mein bhi manaya jane laga.

Waqt ke sath Halloween manane ke tariko me badlav aya. Jisme trick or treat khelna, jack-o-lantern banana, alag-alag costumes pehan kar party karna, horror movies dekhna aur mazedar khana khana shamil hai.

History of Halloween

Samhain

Mulatah Halloween ek ancient Celtic festival hai jise Samhain kaha jata hai. Samhain ek aisa shabd hai jiska uchcharan Sow-in se hota hai. Yah din Celtic calender ka akhiri din hota hai. Celts murti puja karne wale isayi hote hai. 2000 saal pehle, celt log jo ki zyadatar Ireland, United Kingdom aur Northern France me rehte the, wah 1 November ko apna New Year manate the.

Is din ko wah garmiyon aur fasal ke akhiri din aur kali, sardiyon ki shuruwat ke roop me dekhte the. Is waqt ko insani maut se jod kar bhi dekha jata tha. Celts aisa mante the ki Halloween ki raat yani naye saal se pehle ki raat ko humari duniya aur bhooton ki duniya ki deewar kamzor ho jati hai. Isliye wah pariyo aur siddho ke liye gaanvo aur kheto ke bahar prashad taiyar karke rakhte the.

Wah mante the ki unke purvaj bhi us deewar ko us din paar kar sakte hai. Celts us din jaanwaro aur rakshas ki tarah taiyar hote the taki buri aatmaye unhe insan samajh kar apne sath na ley jaye.

Samhain Ke Monsters

Samhain ki pauranik kathao me kuch khaas rakshaso ka jikr milta hai. Jisme se ek hai Pukah jo ki ek shape-shifter hai. Yah rakshas logo ke kheto se fasal kha jata hai. 

Lady Gwyn ek bina sarr wali mahila hai jo safed rang ke kapdo me hoti hai. Uske sath ek kala suar bhi hota hai. Yah mahila raat me ghumne walo ka picha karti hai. 

Dullahan kabhi-kabhi ek shararati jeev ke roop me dikhta tha. To kabhi ghode par baitha bina sarr wale aadmi ke roop me jo apne hath me apna sarr pakde hue hota tha. Aankhon se angare nikalte hue ghode ki sawari karte hue ko dekhne wale kisi bhi vyakti ke liye yah ek mrityu sagun mana jata tha.

Faery Host naam ka shikariyo ka ek samuh bhi hai jo Samhain ke din logo ko kidnap kar leta tha. Isi tarah ka ek aur samuh hai jise Sluagh kehte hai. Jo ki west se ata hai aur logo ke gharo me ghus kar insano ki aatmaye chura leta hai.

Halloween in US

Halloween Party

United States of America me Halloween 31st October ko manaya jata hai. Halloween shabd All Hallows’ Eve se nikla hai. Aur ye All Saint’s Day ke ek din pehle ata hai. Jo ki isaiyon ke liye ek bahot hi pavitra din mana jata hai.

Halloween ki shuruwat Europe me hui thi. Lekin baad me 19th century ke dauran Irish apravasi ise North America me ley ayein. Jaha yah kafi lokoriye hua aur kai mayne me vikasit bhi hua.

20th century ke dauran ise aur zyada lokpriyata mili. Aur isi ke sath trick or treating, pumpkin ki nakkashi jaise traditions ne Tv shows, books aur movies me apni jagah banayi.

America me Halloween kafi dhoom-dhaam se manaya jata hai. Waha log is festival ko apne family aur friends ke sath party karke, tarah-tarah ke games khel kar aur apne ghar ki sajawat karke manate hai.

Halloween ke din horror movies dekhna, pranks karna, swadisht bhojan karna, pumpkin se bani mithayian khana, bachchon ko treat dena aur darawani costumes pehnne ka riwaz hai.

Halloween Se Jude Rituals aur Games

Yun to ab Halloween ne partiyon ka roop ley liya hai. Lekin ab bhi aise bahot sare rituals aur games hai jise log bade hi utsah ke sath karte hai. Aaiye jante hai unke bare me.

Trick or Treat

Halloween par bachchon dwara khela jane wala yah ek bahot hi interesting game hai. Is game me bachche Halloween ke din costumes pehan kar hath me pumkin ke shape ka bag ley kar logo ke ghar-ghar jaa kar unse puchte hai Trick or Treat? Treat ka matlab hota hai unhe candies deni padti hai. Aur trick ka matlab ek tarah se dhamki hota hai ki wah ghar ke malik ke sath koi prank karenge agar unhe treat nahi mili to.

Mana jata hai ki Halloween ke din darrawne costumes pehan kar log Trick or Treat isliye khelte hai taki wah bhooton se khud ko bacha sake.

Jack-o-Lantern

Jack-o-Lantern Halloween ka bahot ahem hissa hai. Halloween ke time kaddu bahot bade aakar ke milte hai. In kadduo me darrawani shaql bana kar isme candle jalate hai. Aur Halloween ke din apne gharo ke bahar sajate hai. Ise hi Jack-o-Lantern kaha jata hai. Mana jata hai ki aisa karne se buri shaktiya door rehti hai.

Isse juri ek kahani bahot mashhoor hai. Jise log Irish Legend se bhi jod kar dekhte hai jiska naam Stingy Jack tha.

Stingy Jack ek bahot ki kanjus vyakti tha. Use logo ko trick karne me bahot maza ata tha. Ek baar usne Devil ko khane pe bulaya lekin wah khane ke paise nahi dena chahta tha. Usne Devil se kaha ki wo ek coin me badal jaye taki wah us khane ke paise dey sake. Devil ne aisa hi kiya aur khud ko ek coin me badal diya. Aisa karte hi Jack ne Devil ko apne pocket me rakhe cross ke bagal me rakh liya. Jiski wajah se Devil wapas apna roop nahi badal paya. Baad me Jack ne ek shart par Devil ko chhoda ki wah use ek saal tak tang nahi karega.

Ek saal baad jab Devil fir se wapas aya, Jack ne use fir se trick kiya. Lekin uske baad Jack ki maut ho gayi.

Jack ki maut ke baad God ne use heaven me lene se mana kar diya kyuki wah ek bura insan tha. Aur Devil ne bhi use hell me nahi aane diya. Devil ne use ek jalte koyle ke sath andhheri jagah me bhej diya. Jack ne koyle ko ek carved turnip me rakha. Jo ki time ke sath ab pumpkin me badal chuka hai.

Aur tabhi se har Halloween ki raat Jack antheen bhatakta hai. Kyuki uski aatma 2 duniya ke bich fass chuki hai.

Apple Bobbing

Apple Bobbing me ek bade basin me pani bhar kar usme apples daal diya jata hai. Khel ke pratibhagiyon ko in apples ko apne muh se nikalna hota hai. Aur unhe apne hath piche rakhne hote hai.

Halloween Movies

Halloween Movies

Halloween ke din horror movies dekhne ka trend hai. To isi trend ko follow karne ke liye hum apke liye laye hai Halloween theme ki kuch chuninda movies ki list. Is Halloween aap in movies ko apne family aur friends ke sath zaroor dekhe. To aaiye un movies ke bare me jante hai.

Hocus Pocus

Hocus Pocus 1993 ki ek American dark fantasy horror comedy film hai. Jiske Director hai Kenny Ortega. Producer hai David Kirschner aur Steven Haft. Aur ise likha hai Neil Cuthbert aur Mick Harris ne. IMDb par iski rating 6.9 hai.

Yah kahani hai Sanderson Sisters ki, jinhe 300 saal pehle kala jadu-tona karne ke ilzam me maut ki saza suna di gayi thi. Max naam ka ek teenage ladka Salem, Massachusetts me rehne ata hai. Max ko naye sehar me adjust karne me dikkat aa rahi hoti hai lekin tabhi wo galti se Sanderson Sisters ko wapas zinda kar deta hai

Kya Sanderson Sisters humesha ke liye is duniya me wapas aa jayengi? Aur Max ka kya hota hai? Ab ye janne ke liye to apko yah movie dekhni hi padegi.

Trick r Treat

Trick r Treat 2007 ki ek anthology horror comedy film hai. Jise likha aur Direct kiya hai Michael Dougherty ne. Aur Producer hai Bryan Singer. Is film ko IMDb ne 6.8 ki rating di hai.

Yah kahani hai ek fictional town Warren County ki jo ki Ohio me hai. Jaha par Halloween ka din hai. Yah film 5 alag-alag kahaniyo ke irdagird ghumti hai jiske kirdar ek dusre se takrate hai. Is film me Halloween ke reeti-riwazo ko kyu nahi todna chahiye yah dikhaya gaya hai.

Trick r Treat Halloween ki sabse lokpriye movies me se ek hai. To Halloween ke waqt is movie ko dekhna ek acha plan hai.

Halloweentown

Halloweentown 1998 me ayi Disney Channel Original ki movie hai. Jise Direct kiya hai Duwayne Dunham ne aur Producer hai Ron Mitchell aur Brian Pogue. Iske writters hai Paul Bernbaum, Jon Cooksey aur Ali Matheson. Yah ek fantasy comedy film hai. IMDb par iski rating 6.8 hai. Yah Halloweentown Series ki pehli film hai. Is series me total 4 movies hai. Series ki baki filme hai Halloweentown ll: Kalabar’s Revenge (2001) , Halloweentown High (2004), aur Return to Halloweentown (2006).

Yah kahani hai ek maa (Gwen) aur uske 3 bachchon, Marrnie Piper (13 years), Dylan (12 years), aur Sophie (7 years) ki. Gwen apne bachchon ko Halloween ke din kabhi bahar nahi jane deti. Aur bachchon ke puchne par wah unhe iska thik-thik karan bhi nahi bata pati hai. Gwen ki maa Agatha Halloween par ghar ati hai. Gwen aur Agatha witches hoti hai. Lekin Gwen yah baat secret rakhna chahti hai aur ek normal life hi jeena chahti hai.

Disney Channel ko pasand karne walo ko yah movie kafi pasand ati hai. Agar apke ghar me bachche hai to Halloween par unke sath aap ye movie zaroor dekhein.

Beetlejuice

Beetlejuice 1988 me ayi ek American fantasy comedy film hai. Jiske Director hai Tim Burton, aur ise Produce kiya hai The Geffen Company ne. Ise IMDb par 7.5 ki rating mili hai.

Yah kahani hai Adam aur Barbara naam ke couple ki. Jinki maut ek car crash me ho jati hai. Lekin marne ke baad bhi wah apne ghar me hi rehte hai. Fir ek din unke ghar ko bech diya jata hai aur ek family unke ghar me rehne aa jati hai. Fir kya tha, Adam aur Barbara unhe darane ki koshish karte hai. Aur is koshish me wah Beetlejuice ki madad lete hai.

Beetlejuice ek critical aur commercial success rahi thi. Aur ise kai sare awards bhi mile the. To aap kiska wait kar rahe hai? Jaldi se Beetlejuice ko apne Halloween movies ki list me add kar lijiye.

Halloween 1978

Halloween ho aur Halloween movie ki baat na ho aisa ho hi nahi sakta. Yah Halloween ke theme ki sabse charchit movie hai. Agar apne Halloween ke din yah movie nahi dekhi matlab apka Halloween adhura reh gaya.

Halloween 1978 me ayi ek American horror movie hai. Jise Direct kiya hai John Carpenter ne aur Producer hai Debra Hill. Aur in dono ne hi ise likha bhi hai. Halloween ko IMDb par 7.8 ki rating mili hai.

Yah kahani ek mental patient Michael Myers ki hai jisne 6 saal ki umra me Halloween ke din apni choti behan ka khoon kar diya tha. Ab 15 saal ke baad wo mental hospital se bhaag kar apne hometown Haddonfield, Illinois aa gaya hai.

To aaj humne Halloween ke bare me jana. Apko humara yah article kaisa laga humein comment section me zaroor batayein. Aur aise hi interesting articles padhne ke liye humse jude rahein.

Dhanyawad!


Also Read : Who is Lucifer? (Lucifer kon hai?)

Click here to Shop on Flipkart for it’s “Big Diwali Sale

Spread the love

2 Comments on “Halloween Kya Hai? – (What is Halloween?)”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *