Babri Masjid Ka Faisla

Babri Vidhwans mamle mein Lucknow ki special CBI ki adalat ne 30 September, 2020 ko apna faisla suna diya hai. 6 December, 1992 ko Ayodhya sthit Babri Masjid ko bhid ne gira diya tha.

Bhid mein kai kaar-sevak bhi the jinka kehna tha ki Masjid ko thik usi jagah banaya gaya tha. Jahan ek pracheen Ram Mandir tha.

Babri Masjid ka faisla mein kul mila kar 49 aropi the. Jisme BJP, Vishwa Hindu Parishad aur dusre sangathanon ke kai bade naam the.

Jaise Lal Krishna Adwani, Murli Manohar Joshi, Kalyan Singh, Uma Bharti aur Vinay Katiyar. Inme se 17 aropiyon ka dehant ho chuka hai jaise Bal Thakre, Giriraj Kishore aur Ashok Singhal aadi.

Sabhi aaropiyon ko CBI ki vishesh adalat ne sabuton ke abhav mein bari kar diya hai. Special CBI Judge S. K. Yadav ne faisla sunate huye kaha ki ghatna purva-niyojit nahi thi. Jo kuch hua achanak hua.

Babri Masjid Ka Faisla kaafi mushkil raha hai. Aaiye jante hain ki us waqt Ayodhya mein kya-kya hua tha.

Kya Kuch Hua Tha 1992 mein?

6 December 1992, Subah 10:30 baje ke aas-paas Ayodhya mein lagbhag 450 varsh purani vivadit Babri Masjid ke aas-paas ka yah drishya tha. Kuch kattarpanthi Hindi sangathanon dwara us din Ayodhya mein masjid ke paas Ram Mandir nirman ke liye ek saanketik kaar-seva karne ki baat kahi gayi thi.

Sthaniya prashaasan ke mutabik iss karyakram mein bhag lene ke liye labhgad 1.5 lakh log 2 din pehle hi Ayodhya pahoch gye the.

Babri Vidhwans

Lekin 6 December ko 1.5 ghante ke bhitar hi nazara badal gaya. Jo bhid mandir ke liye kaar-seva karne ke liye juti thi. Achanak sab kuch bhool kar Masjid todne mein jut gayi. Kuch yuvakon ne Masjid ki chhat par chadh kar uske bich wale gumbad par bhagwa jhanda lehra diya.

Sham hote-hote mughal kaleen Badshah Babar ke daur mein banwai gayi 450 varsh purani yah aitihaasik Masjid puri tarah dhwast ho gayi. Isey dhwast karne wale kaar-seva iska kaafi malba bhi apne sath utha le gaye. Aur agle hi din savere iss malbe par baans ki balliyon aur kapde se dhaka ek Mandir nazar aya jis par bhagwa lehra raha tha. Aur wahan Ram lala ki murtiyan virajmaan thi.

Iss ghatna ne samuche Bhartiya Samaj ko jhakjhor dala. Iski pratikriya mein na sirf Bharat mein balki videshon mein bhi hui. Aur Pakistan tatha Bangladesh mein kai Hindu Mandir gira diye gaye. Bharat mein kai rajyon aur shehron mein sampradayik dangey shuru ho gaye. Aur hafte bhar ke andar hi karib 1,500 log in dangon mein maar dale gaye.

Babri Masjid ko giraye jane ki karyawai 6 December 1992 ko hi nahi hui. Balki isse pehle bhi kai prayas kiye gaye. Aur 1990 mein jab Uttar Pradesh mein Mulayam Singh Yadav ke netritva wali Sarkar thi. Us samay bhi kuch kaar-sevak Babri Masjid ko girane ke liye uske upar chadh gaye the. Lekin tab Rajya Sarkar dwara goli chalai gayi aur usme 16 log mare gaye the.

Kon The Aaropi?

Aise mein sawal uth-ta hai ki fir 1992 mein Ayodhya mein Babri Masjid ko dhaye jane ke liye doshi kon tha. Zyada tar log iss ghatna ke liye Sangh Parivar, Bhartiya Janta Party ke kuch netaaon aur Uttar Pradesh ke tatkaaleen mukhyamantri Kalyan Singh ko zimmedaar thehraya gaya.

Babri Vidhwans mamla 1992 se le kar 2020 tak chala. Babri Masjid ka faisla aane ke baad bhi ek paksh ke vyakti khush nahi hain. Unka kehna hai ki inn aropiyon dwara hinsa bhadka kar Masjid ka vidhwans karaya gaya tha.

Dharm ke naam par rajniti nayi nahi hai. Yah salon se chalti aa rahi hai. Ek nagrik ke taur par humein samajhna hoga ki hamari zimmedaariyan kya hain. Tabhi iss tarah ke dange khatam ho sakte hain.

Also Read : Aliens Ka Rahasya Aur Roswell UFO Incident Ka Sach

Buy Here : WP Smart Links Pro

Spread the love

6 Comments on “Babri Masjid Ka Faisla”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *