Chhath Ek Vrat-Katha – Chhath Puja Ka Mahatva

Women celebrating Chhath Puja

Mahaparv Chhath shuru ho chuka hai. Lagbhag 4 din chalne wala yah vrat sabse kathin mana jata hai. Multah isey Bihar. Uttar Pradesh aur Jharkhand mein manaya jata hai.

Aaiye Chhath ke bare mein kuch mahatwapurn tathya padhte hain.

Chhath 4 din manya jata hai. Jisme pehla din Nahaye-Khaye hota hai. Dusra Kharna. Teesra Sanjhiya Arghya aur Chautha ya antim ko Bhorwa Arghya kehte hain.

Kartik Maas ki shashti ko Chhath Parv manaya jata hai. Chhathe din puji jane wali Sasthi Maiya ko Bihar mein Chhathi maiya kah kar pukarte hain. Manyata hai ki Chhathi Maiya Bhagwan Surya ki Bahan hain. Isliye is uplaksh par Surya ko arghya de kar Chhathi Maiya ko prasann karne ka riwaz hai.

Puranon mien Maa Durga ke chhathe roop Katyayani Devi ko bhi Chhathi Mata ka hi roop mana jata hai. Sath hi Chhathi Mata ko santan dene wali mata ke naam se bhi jana jata ha. Kaha jata hai ki Chhath parv santan ke liye manaya jata hai aur khas kar wah jodey jinhe santan prapti na hui ho. Baaqi sabhi apne bachchon ki sukh-shanti ke liye yah pawan parv manate hain.

Pauranik Kathayein

Ek katha ke mutabik Draupadi ne bhi Chhath Puja ka vrat rakha tha. Draupadi paancho pandavon ki patni thi. Katha ka kehna hai ki Draupadi ne Surya Dev ki puja ki thi. Draupadi niyamit roop se apne parijano aur parivar walon ke liye uttam swasthya ki kamna kart thi aur Surya Bhagwan ki puja karti thi.

Ek anya katha ke anusar, is vrat ki shuruwaat Mahabharat ke samay se hui thi. Us waqt sabse pehle Suryadev ki puja Suryaputra Karn ne ki thi. Mahabali Karn har din ghanton kamar tak ke paani mein khade ho kar Suryadev ko arghya dete the. Suryadev ki anukampa se hi wah ek mahan yoddha bane. Tab se ab tak Chhath puja ke dauran Suraj ko arghya dene ki pratha chali aa rahi hai.

Chhath Puja Ke Niyam

Is puja ko sabse kathin aur pavitra mana jata hai. Isi wajah se yah Vrat karne ke kaafi niyam hain jinka palan karna avashyak hai.

Jaise Chhath ke charon din vrat karne wale ko apne mann mein kisi bhi tarah ke dwesh ya galat vichar nahi aane dene chahie. Arthat, is vrat ko puri imandari aur nishtha ke sath kiya jata hai.

Chhath Puja ke dauran vrati aur gharwale lahsun-pyaz aur maans-machhli nahi khate hain.

Vrati ko Chhath ke charo din naye kapde pehenne hote hain. Auratein saree aur mard dhoti pehente hain.

Vrat ke din vrati ko zameen par chatai bichcha kar sona hota hai.

Puja ke liye baans se bane sup aur tokri ka hi istemaal kiya jana chahiye.

Chhath Puja mein Gud aur Gehun ke aatte se bana Thekua taiyar kiya jata hai.Aur falon mein Kela aur Ganna dhyan se rakha jata hai. Kyunki yah bhi zaruri hote hain.

Vaigyanik Mahatwa

Yah baat hum sabhi ko malum hai ki suraj ki kiranon se Vitamin-D milta hai. Aur ugte surya ki kiran se zyada faaydemand kuch aur nahi hai. Isliye bhi Surya Namaskar kaafi labhkari bataya jata hai. In kiranon se shareer ki pratirodhak kshamta bhi behtar hoti hai. Sath hi skin se judi pareshaniyaan bhi door hoti hain.

Chhath Puja ko Bihariyon ka mahaparv bhi kehte hain. Har ek insaan jis ke ghar mein Chhath Puja hoti hai, wah iske liye kaafi bhavuk rehta hai. Jo log apne gaanv ke bahar rehte hain, unki koshish rehti hai ki Diwali par bhale hi ghar na jayein lekin Chhath ek aisa parv hai jisme ghar par hone ka dil karta hai. Chhath sirf puja hi nahi logon ko ek sath jodne ka bhi kaam karta hai.

Hindustan mein hazaron parv aur tyohar manaye jate hain aur un sab me Chhath sabse zyada manaya jane wala tyohar kaha jaye to galat nahi hoga.

To aaj humne Bihar rajya ke sabse bade parv Chhath Puja ke bare me jana. Apko humara yah article kaisa laga humein comment kar ke zaroor btayega. Aur aise hi rochak tathya aur kahaniya padhne ke liye humse jude rahiye.

Dhanyawad!


Also Read : Diwali Se Jude 13 Less-Known Facts!

Click Here to Shop on Amazon for Great Offers and Deals

Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *