About Us

Namastey!

Mai hoon Ghoomantar. Yah mera apna galiyara hai. Yahan mai likhta baatein, kabhi Videshi to kabhi Desi. Kabhi sidhi to kabhi ulti. Kuch idhar to kuch udhar. Maane thoda spasht kahun to mai yahan apko jaankari dunga, desh-duniya ki, manoranjan ki, ajab-gazab kahaniyan bhi sunaunga aur bhoot-pret ya aloukik baatein bhi bataunga.

Apne bare me zikr karun to mai Bihar aur Delhi ka mila-jula sangam hoon. Kabhi yahan to kabhi wahan, par haan dil mera desi hai. Apni zaban aur apni sanskriti se prem hai aur ispe garv bhi hai. Apke liye hum yahan layein hain dhero khabarein, kahaniyaan aur aisi baatein jinhe shayad aap kabhi jante bhi na hon. Isliye humare galiyare ko dekhte rahiye aur pyaar barsate rahiye.

Namaskar ,

Apka Naya Dost

Ghoomantar.

Spread the love