Delhi Ki 5 Must Try Christmas Parties

Christmas ya Bada Din 25 December ko manaya jata hai. Iss din lagbhag purey vishwa mein iss parv ko bade dhumdhaam se manate hain. Jesus Christ ke janmdiwas ke roop mein manaya jane wala yah tyohar har umra ke logo dwara manaya jata hai, khas kar bachche. Bachchon ke liye Christmas is liye bhi khaas hai kyunki mana jata hai ki is din Santa Claus aata hai aur unhe dher sare gifts de jata hai. Iss din jagah-jagah par kaafi parties chalti rahti hain. Aur iss baar humara topic yahi parties hongi. Matlab ye ki hum bataynge apko ki Delhi me rehte huye aap apna Christmas ekdam jhakkas kaise manaa sakte hain.

To chaliye shuru karte hain.

1. The Sacred Heart Cathedral

Sacred Heart Cathedral Delhi ka sabse bada church hai. Yahan ki Christmas Midnight party aap bilkul bhi miss nahi karna chahenge.

Delhi mein paley badhey logon ko to har saal kaanpti hui sardi mein adhi raat ko Cathedral jana yaad rehta hai. Festivals ki yahi baat to nirali hai ki har saal pichle saalon ka nostalgia de jata hai.

Iss festival ki puri feel ke liye aap iss jagah jaa kar enjoy kar sakte hain. Aur carol to sabse khas hai hi. Uske bina aaj tak kiska Christmas pura hua hai.

Ashok Place, Gole Dak Khana ke paas sthit yah Church apko amantrit karta hai 24th December 11pm se shuru hone wale iss Mass celebrations par.

Der na karein aur aaj hi plan karein.

Location: 1, Ashok Place, Sector 4, Gole Market, New Delhi, Delhi 110001

2. German House/ German Christmas Mela

Delhi ka famous German Christmas Market Indo_German Chamber of Commerce dwara ayojit kiya jata hai. Jahan plum cake ke sath-sath apni family ke sath gingerbread house banane ka bhi mauka milega.

Ye to pakka hai ki issey zyada fun-evening apko kahin aur nahi milegi.

Location: German House, Nyaya Marg, Block F, Diplomatic Enclave, Malcha, New Delhi-110021

3. St. Alphonsa’s Church

St. Alphonsa's Church
Photo by cyril___anderson

Saint Alphonsa ke naam par banaya gaya ye church Vasant Kunj mein sthit hai. Vasant Kunj ke farm houses ke aas-paas bana yah church khasa lokpriya raha hai. Iski sabse badi wajah iska interior hai. Jisme architecture Bible ki kahaniyon se prerit hai.

Humari maaney to Delhi ke sabse khubsurat churches mein se ek hai aur isey miss naa hi karein to achha hoga.

Location: 9, Green Avenue Road, Vasant Kunj, New Delhi.

4. Unplugged Courtyard

Unplugged Courtyard-Christmas
Photo by Unplugged Courtyard on Instagram

25th December ko din mein 12 baje se Unplugged Courtyard mein shuru hoga Christmas Buffet Lunch.

Music ke sath fusion cuisine apka man moh legi. Aur aap apne family ya doston ke sath yadgar pal bita sakte hain.

Unplugged Courtyard ka ye Christmas Budget Lunch kaafi acha experience ho sakta hai.

Location: L-Block-23/7, Near Odeon Cinema, Middle Circle, Connaught Place, New Delhi.

5. Casino Food and Bar

Casino Food n Bar
Photo by Casino Food n Bar on Twitter

Kya apko ek aisi Christmas Party ki talash hai jahan aap games aur food ke sath kaafi masti kar sake ? To aapke liye pesh hai Casino Food and Bar ka Christmas Carnival.

Yahan aapko fun games ke sath-sath gifts distributions bhi honge. Apko wahan ka red & white ka theme dekh kar puri christmas ki feel aayegi. Aur aap keh uthenge waah !

To pahoch jaiye 25 ki raat 12 baje Casino Food and Bar mein.

Location: Noida Sec- 18

6. Dastkar Winter Mela

Festivals ki ek khas baat hoti hai. Wo ye ki isme aap wo sab kuch kar sakte hain jiska apko shauk hai. Usme se ek chiz hai, Shopping.

Dastkar Winter Mela mein woolen chizon ke alawa local artists ki kalakriti bhi mil jayengi. Food aur drinks ka zaika to aap lenge hi. Art performances ka bhi lutf utha sakte hain.

Yah apni tarah ka ek anokha aur entertaining event hai. Aur yah 14 Dec se 25 Dec tak apko amantrit karta hai.

Location: Nature Bazaar Venue, Anuvrat Marg, Kisan Haat Andheria Modh, Desu Colony, Chhattarpur, New Delhi.

7. Christmas Eve Marathon

Marathon Runners-Christmas

Ab aate hain sabse alag tarah ke celebration par. Christmas Eve ki subah ko Marathon ki daur. Naya saal aane ki khushi aur fir se naye resolutions banana. Inke alawa aap apne andar ke athlete ko jaga sakte hain. Marathon ke sath christmas manaiye aur naye saal ka swagat kijiye

Ek swasthya sharir aur jeewan ke liye aap hissa le sakte hain. Dec 24 ko 5:30 am se 10:30 am subah tak aap isme participate kar ke aage badh sakte hain.

Location: Noida Sports Stadium, Sec 21, Noida.

Christmas and Jesus’s Teachings

Christmas ek khubsurat festival hai. Iss din log ek dusre se milte hain, celebrate karte hain. Jesus Christ ke janm divas ke roop me manaya jane wala yah tyohar sabse pehle Roman Empire mein shuru kiya gaya tha. Aur aaj yah itna lokpriya hai ki duniya ke kone-kone mein aaj bhi bachche gifts ke liye santa claus ko yaad karte nazar aate hain.

Jesus ko Christianity mein “Son of God” maana jata hai. Aur ye bhi ki unhone manav jaati ke liye khud ki jaan de di. Jesus Christ ne duniya ko sahi rasta dikhaya. Unhone btaya ki kisi bhi insaan se koi bhi galti ho jane par bhi wah apne paapon ki kshama maang sakta hai. Aur Jesus unhe maaf kar denge.

Jesus ki inhi sikh ke sath humein aage badhna hai aur hamesha sahi raste ka chayan karke dusron ko bhi sach ka sath dene ki sikh deni hai.

Ghoomantar ki taraf se aap sabhi ko Christmas ki dher sari shubhkamnayein. Merry Christmas!

Apko humara yah article kaisa laga humein comment karke zaroor batayein. Aur aise hi interesting places ke bare me janne ke liye humse jude rahiye.

Dhanyawad!


Also Read : Varanasi mein 5 aisi jagahein jinhe dekhe bina apka Banaras pura nahin hota

Click Here to Shop on Amazon for Great Offers and Deals

Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *