Delhi Street Food

Delhi Ke Famous Street Food Jo Apko Swarg Ka Anubhav Karate Hain.

Delhi Ke Street Food

Dilwalon ki Dilli mein aise kai zaikey hain jinhe chakh lene ke baad khane wale ko aseem khushi prapt hoti hai. Hum unmein se chunn kar apke liye laaye hain 11 Delhi ke Street Food. Chaliye Food-Goals banana shuru karte hain.

1. Ram Laddu

Ram Laddu-Delhi Street Food

Aapne Laddu to bahot khaye honge. Boondi ke, Motichoor  ke ya besan ke, hote sab ke sab mithey hi hai. Lekin Ram Laddu namkeen hota hai, humare shaam ka snack.

Moong aur Chaney ke dal se bana hua Ram Laddu, khane me bahot hi mulayam aur swadisht hota hai.  Delhi ke best street food mein apko taqriban har jagah Ram Laddu ke road-side stall dikh jayenge. Hari chutney aur mooli ke challe ke sath iska swad bada nikhar ke aata hai.

2. Moolchand Parantha

Delhi ke famous street food ki baat ho aur Moolchand Parantha ka naam na liya jaye, aisa ho hi nahin sakta.

Delhi me breakfast ho ya lunch, dinner ho ya ainwein ki bhookh. Paranthe ek alag hi swad dete hain.

Moolchand Metro Station ke paas yah Paranthon ki shop apne customers ko lazeez paranthe parosti hai. Wo bhi kaafi kifayati rate mein.

Yahan milenge Aloo ke, mooli ke aur to aur andey ke aur chicken ke bhi paranthe. Jinhe khana apne aap me hi ek experience hota hai.

3. Kebab

Kebab-Delhi Street Food

Waise to Delhi mein non-vegetarian lazzat ki bahaar hai. Lekin isme Kebab ki apni importance hai. Chahe wo Galouti Kebab ho ya Seekh Kebab, Dilliwale to kebab ke naam se hi jhoom jate hain.

Qureshi Kebab Corner jo ki Purani Dilli mein Jama Masjid ke paas hai, uska kebab aapne nahin khaya to apka Dilli Darshan muqammal nahin hua.

Kebab ke mashhooriyat ke kya kissey sunayein apko, Itna jaan lijiye ki Non-vegetarians me itni lokpriyata hone ke baad vegetarians ne bhi Veg kebab banaye jo ki swadisht hote hain. Jaise Dahi ke Kebab ya Hara-Bhara kebab.

Delhi ke street food ki journey mein kebab kabhi na bhoolein, paap lagta hai.

4. Chole Bhature

Chole Bhature-Delhi Street Food

Delhi mein Chole Bhature yun hain jaise metro. Dilliwalon ka to na Metro ke bina kaam chalta hai aur na hi Chole Bhature ke bagair.

Ek aisi recipe jisey aap breakfast, lunch ya dinner teeno mein se kisi bhi samay kha sakte hain.

North India ki iss delicacy mein hota hai chana masala aur maidey ka bana hua bhatura. Aur sath me hari chutney, pyaz aur mirch.

Sach kahun to mujhe iske bare me baat karte huye bhi muh mein paani aa jata hai.

Dilli mein subah-subah office jane ki jaldi ho ya college students ki bheed, inka ek hissa to zaroor Chole Bhature ki dukan ke aage khada hota hai.

Agar aap Delhi ke street food ko try karna chahte hain aur iss vyanjan ka anand lena chahte hain to aap jaa sakte hain Paharganj wale Sita Ram Diwan Chand ki dukaan par, jo 1970 se Chole Bhaturon ka swad logon mein baant rahe hain.

5. Shawarma

Shawarma

Shuruwat mein Turkey me khaya jane wala Shawarma aaj puri Delhi ke favourites ki list me hai. Middle East Country ka yah vyanjan mukhya roop se meat ko chhote aur bareek tukdon mein katne ke baad iske roll banate hain aur mayonnaise ya hari chutney ke sath khate hain.

Chicken aur mutton se banne wala Shawarma ab vegetarians ke liye bhi soyabean aur paneer ke sath banaya jata hai.

Waise to Delhi ke famous street food ki baat karein to Shawarma ke apko kai outlet mil jaynge aur wo lazeez bhi honge, par jo baat  New Friends Colony ke Al Bake mein hai, wo kahin nahin.

6. Moth Kachori

Moth ki dal se banne wali Moth Kachori Delhi me khaas lokpriya hai. Yahan ke har area me apko koi na koi Moth Kachori wala dikh hi jayga.

Moth ki daal, kachori aur chawal ke sath isey pyaz aur chutney ke sath bhi parosa jata hai. Aur log isey lunch me khana zyada pasand krte hain.

Delhi me Prince’s Special Multani Moth Kachori, Uttam Nagar mein aap is anokhe vyanjan ka swad le sakte hain.

7. Momos

Momos

Dilli ki kudiyon ka favourite hai Momos. Iski chutney logon me bahot famous hai.

Momos ek tibetan-asian food hai jo idli ki tarah steam karke banta hai aur isey teekhi chutney aur mayonnaise ke sath bade swad se khaya jata hai.

Momos kai tarah ke milte hain jaise Veg Momos, Paneer Momos, Chicken Momos ya fir unme bhi fried momos, steamed momos aur tandoori momos.

Delhi me momos khane walon ki sankhya kaafi zyada hai, aur yahan outlets bhi bahot hain. Chatpati chutney wale momos bhala kisi ko kyu na pasand aayenge.

Delhi ke famous street food ka lutf uthane ke liye aap Dolma Aunty Momos ke paas jaa sakte hain jo Lajpat Nagar ke Central Market me hai.

8. Chole Kulche

Chole Kulche-Delhi Street Food

Punjab ke famous Chole Kulche Dilli walon ki bhi pehli pasand rahe hain. Aur ye sirf Delhi mein hi nahi NCR ke kshetron mein bhi log pasand karte hain, jaise Gurugram ya Noida.

Chole Kulche aisi cheez hai jise takriban sabne khaya hoga, chahe wo student ho ya fir koi kaam-kaaji vyakti. Aur ho bhi kyu na, Yahan chole apko apki pasand ke hisab se customised ho ke milte hain. Matlab agar apko teekha pasand hai ya fir bina mirch ka. Har tarah ke chole uplabdh hote hain.

Aur haan sirf Chole me veriety nahi hai, apko bahut tarah ke Kulche bhi khane ko milenge, Jaise lambe wale, Gol wale ya aloo wale.

Delhi ke famous Chole Kulchon ka zaika lena hai to sidhe chale jaiye Chawri Bazaar yani ki Purani Dilli. Wahan apko milenge Lotan Ke Chole Kulche jise kha kar aap mantramughd ho jayenge.

9. Daulat Ki Chaat

Daulat Ki Chaat-Delhi Street Food

Apne chaat to bahut si khai hogi aur wo bhi teekhi, chatpati aur masaledar. Lekin yahan hum baat kar rahe hain aisi chaat ki jo hai to swadisht par MEETHI. Ji haan! Meethi Chaat jiska naam hai “Daulat Ki Chaat”.

Dilli ki sardi mein Daulat ki Chaat se zyada lazeez kuch aur nahin. Chandni Chowk ke kebab, naan aur paranthon ke alawa sabse behtar sirf Daulat Ki Chaat hai.

Dilli ki sardi ki raaton mein kuch halwai jut jaate hain dudh ko fentne mein aur itna fent-te hain ki jhag nikala jaa sake, fir chandni raat mein os ki boondon se taiyar hoti hai hamari Daulat Ki Chaat.

Isey Lucknow wale “Malai-Makkhan” aur Varanasi wale “Malaiyo” bulate hain.

Iss Delhi ke famous street food ke liye aap Khemchand Daulat ki Chaat dukan par jaa kar iss anokhi mithai ka anubhav ley sakte hain.

10. Bedmi Puri

Bedmi Puri atta, suji aur moong ki daal se bani hui Puri hoti hai jise aloo ki hing wali rasedar sabzi ke sath parosa jata hai.

Mool roop se Rajasthan ki yah dish Delhi mein bade hi chav ke sath khayi jati hai. Aur ek plate Puri ke baad agar ek glass lassi ho jaye to bhai waah! Kya neend ayegi. Dhyan rahe aise stunt aap sirf Sunday ya chhuttiyon wale din hi karein.

Breakfast ke taur pe Bedmi Puri ko purey Delhi ne apna liya hai aur lagbhag sabhi jagah ye asani se mil jati hai.

Bedmi Puri ka zabardast swad apko Chawri Bazar ke Shyam Sweets mein mil sakta hai. Kabhi wahan jayein to taste karna na bhulein.

11. Natraj Dahi Bhalle

Dahi Bhalle-Delhi Street Food

Dahi Bhalle to aap sabne khaye honge, Delhi ke street food mein apko har street par yah mil jayenge, lekin kuch avishvashniya, masaledar chaat aur swad ke bare me sochein aur Natraj apko kabhi nirash nahin karenge.

Natraj Dahi Bhalle ki dukan paranthe wali gali ke samne aur Metro Station ke bilkul nazdeek hai. Aur yahan menu mein sirf 2 hi items hain. Dahi Bhalle aur Tikki Chaat, jisme humein Dahi Bhalle best lagte hain.

Bhallon ke upar dahi aur uske upar inke apne khas taiyar kiye huye masale dale jaate hain, jinka swad aap kabhi bhool nahin paynge.

Aapko jaan kar ashcharya hoga ki Videshi Paryatak bhi yahan Tikki aur Bhalle taste karne aate hain aur unhe kaafi pasand bhi aata hai.

Ab itni baatein karne ke baad apke bhi mooh mein paani aa gaya hai to jaaiye, jaaiye Natraj Dahi Bhalle walon ke paas jaaiye aur swad lijiye.

To aaj humne aapse baat ki Delhi ke famous street food ke bare mein. Aap humein batayein ki aapko yah kaisa laga aur jab bhi humare diye sujhavon mein se kuch taste karein to humein zaroor batayein. Agli baar aapse karenge kuch aisi hi meethi-meethi aur chatpati baatein.

Sadiyon Purani Daayan “Bloody Mary” Ki Kahani Ka Sach. यहाँ पढ़े

Varanasi mein 5 aisi jagahein jinhe dekhe bina apka Banaras pura nahin hota. यहाँ पढ़े

Spread the love

29 thoughts on “Delhi Ke Famous Street Food Jo Apko Swarg Ka Anubhav Karate Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *