Bloody Mary, ji haan apne sahi padha. BloodyMary ek aisi daayan maani jati hai jise aap aaj bhi bula sakte hain. Lekin sabse pehle ye jaan lein ki akhir ye hai kon? Aur isey Bloody Mary kyu kehte hain ?
Isse judi do kahaniyan qaafi prachalit hain. Hum to thehre Ghoomantar to humne apke liye dono kahaniyan dhoond nikali hain. Chaliye jante hain Bloody Mary ki kahani ke baare mein..
Pesh Hai Pehli Kahani

Kaafi saal pehle ki baat hai. Europe me shadi ke pehle ek pratha hoti thi.
Jisme kunwari ladki ko hath mein shisha aur mombatti lekar sidhiyon par ulta chalna hota tha.
Sidhiyon par chalte waqt use shishe mein dekhna hota tha. Aisa mana jata tha ki agar use apne hone wale pati ka chehra dikhai deta hai to jiwan achha beetega.
Kabhi-kabhi to iss prakriya mein kankaal ya khoon se bhara koi vyakti bhi dikh jata tha. Jo ki bahot bura sanket mana jata tha. Aur aise me ye mana jata tha ki shaadi ke pehle hi ladka ya ladki ki maut ho jayegi. Lekin Europe me iss pratha ko avashya nibhaya jata tha.
Ab aate hain kahani ke mukhya tathya ki taraf. To kehte hain ki Mary naam ki ladki bhi iss prakriya se guzri lekin usey apne shishe mein kankaal dikh gaya.
Ab wo samajh chuki thi ki uski zindagi ab barbad ho jayegi aur uske paas koi rasta nahin bachega.
Isi dukh me Mary ne apni jaan dey di.
Mary ki iss ghatna ko na jane kitne saal ho gaye hain lekin uska khauf abhi bhi barkarar hai. Kehte hain ki aaj bhi agar aap raat ke 3 baje shishe ke samne mombattti lekar jate hain. Aur 3 baar “Bloody Mary” bolte hain to uski atma apko shishe me dikhai deti hai. Jo khoon se lathpath hoti hai aur aisa karne wale ke sath koi buri ghatna bhi ho sakti hai.
Kai logo ne ise khel-khel me azmane ki koshish ki. Kuch logo ne apni jaan ganwa di to kuch log batane layank nahin rahe.
Humari rai hai ki aap bhool kar bhi isey karne ki koshish na karein. Kuch bhayankar hone par apni zindagi ke aap hi zimmedar honge.
Ab Aate Hain Dusri Kahani Par

Ab apko to pata hi hai ki pehle ke zamane me Rajaon ki kitni raaniyan hoti thi. Raja Henry ki pehli patni se jo beti thi uska naam Mary tha.
Mary ko uske pita pasand nahin karte the. Uske sath achha vyavhaar nahin hota tha. Yahan tak ki Rajmahal mein itne saare naukar hone ke baawajood Mary mahal ke saare kaam karti thi. Mary ki kahani kaafi dukhad thi.
Kuch samay baad Henry ki maut ho gayi.
Pratha ke mutabik Mary ko England ki Rani bana diya gaya. Wo samay aisa tha ki us waqt England me dharm ko lekar ladai chal rahi thi. Mary chahti thi ki England me ek hi dharm ho, lekin logon ne iss baat ko nakar diya.
Aur jisne Mary ki baat ko nahi mana, usey marne ki saza dey di gayi. Kai logon ko to zinda jala diya gaya.
Mary ki kahani mein ek aur ajeeb baat ye thi ki wo khoon se nahati thi, usey vishwas tha ki khoon se nahane par uski khoobsurti mein nikhar aa jayga.
In wajahon se sab ne Mary ko napasand karna shuru kar diya. Purey England ne usey dushman maan liya tha.
England ki praja ke liye Mary ek beemari ki tarah thi isliye usey alag-alag naamon se pukara jaane laga. Aur fir isi tarah “Mary I Queen of England” ban gayi “Bloody Mary”
Humari Salah
To aaj apne jaana Bloody Mary ki kahani aur usse jude tathya. Raat ko 3 baje Mary aati hai ya nahin, ye to hume nahin pata. Lekin samajhdari se itna pata hai ki iski koshish naa hi ki jaye to behtar hai.
Humari duniya bahot hi rochak kahaniyon aur tathyon se bhari padi hai. Hum ummid bhi nahin kar sakte ki koi ajeeb si vastu humare aas-paas hi ho.
Banein rahiye humare sath. Padhte rahiye. Ghoomte rahiye.
Dhanyawad!
Ghoomantar bol kr Choomantar ka article post kr rhe aap 😊
Haha.. Thank you so much for the comment. If you loved it, we will post more such contents. 🙂
Intresting 🤔👍🏻
Yeah it is. Stay tuned for more interesting stories and facts.