
Lucifer! Ji haan, yah naam to aapne kai baar suna hoga. Lekin mai yah keh sakta hun. Ki aap me se kaafi logon ko iss baat ki jankari nahi hogi ki aakhir yah Lucifer hai kon.
Aji zyada sochne ki zarurat nahi hai. Hum aapke liye laayein hain Luicfer ke baare me har wo baat jo zaruri hai. Aur apko jaanni chahiye. To chaliye shuru karte hain.
Lucifer Kon Hai ?
Lucifer God ka banaya hua ek Angel tha, jo baaki saare angels se zyada khoobsurat, takatwar aur gyaani tha. God ke sabse priye angels yaani Archangels mein uski ginti hoti thi. Yahan tak ki Lucifer unn khaas angels mein se tha, jisne asliyat me God ko dekha tha.
Lucifer ek Latin shabd hai. Jiska matlab hota hai “Morningstar” maane “Subah Ka Tara”. Old Testament ki maane to Lucifer Heaven mein humesha nayab hirey aur nagine pehen kar baitha rehta tha. Aur wah itna gyaani tha ki kisi bhi vishay par baat kar pana uski kala me shumar tha. Lucifer jitna gyaani tha utna hi khubsurat bhi tha. Aur inhi sabhi karano se usme bahot ghamand aa gaya tha.
Lucifer ki khubsurti aur gyaan ki wajah se Heaven me kaafi angels usko follow karne lag gaye the. Lekin iske bawajood bhi Lucifer ko Heaven se nikal diya gaya. Aur uske sath hi usko follow karne wale angels ko bhi. Isliye usey “The Fallen Angel” bhi kaha jata hai. Ajeeb baat yah hai ki itne sare talent wale angel ko akhir heaven se kyun nikala ja sakta hai.
The Fallen Angel: Lucifer
Ab is mudde par aate hain ki Lucifer ko Silver City (Heaven) se kyun nikala gaya tha.
Taqriban 6,000 saal pehle ki baat hai. God aur Jesus mein ek meeting chal rahi thi. Iss meeting ke bare me jab Lucifer ko pata chala to wah gusse me aag-babula ho utha. Usne socha ki itna prabhavshali Angel hone ke bawajood bhi usey meeting me nahi bulaya gaya. Uska ghamand us par haavi ho chuka tha.
Yahi waqt tha jab se Lucifer ne God aur unke banaye creation se dushmani kar li. Yahan tak ki God ki Heaven mein huqumat manane se bhi inkaar kar diya. Lucifer ke sath-sath lagbhag Heaven ke 1/3 angels ne bhi puri tarah se Lucifer ko follow karna shuru kar diya. Aur God ke khilaf bagawat kar dali.
Ab God to God hain, jis tarah kisi vidrohi ko Desh-Nikala diya jata tha. Thik usi tarah God ne Lucifer aur uske sabhi followers ko Heaven-Nikala de diya. Lucifer jo ki Heaven ke sabse mahatwapurn angels mein se ek tha. Heaven se gir kar Lucifer aur uske followers Spirit World mein chale gaye. Jisey hum log Hell ya fir “Underworld” ke naam se bhi jante hain.
Swarg se nikalne ke baad Lucifer angel se Devil ban gaya jisey “Satan” bhi kaha jata hai. Wah underworld ka raja ban gaya aur uske followers Demons ban gaye.
Lucifer Ki Shaktiyan

Anya angels ki tarah Lucifer bhi immortal yaani ki amar hai. Iske paas 2 safed pankh hain jo ki thik waise hi hain jaise ek angel ke hote hain. Kyuki wah bhi kabhi ek angel hua karta tha.
Inn pankhon ki madad se Lucifer bahot hi zyada tezi se udd sakta hai. Aur iske paas wah saari demonic powers hain jo ek Nark ke Raja ke paas hoti hain.
Satan dhokha dene aur manipulate karne me mahir hai. Aur aisa mana jata hai ki itihaas mein jitne bhi burey logon ne paida liya tha. Wah sabhi Satan ke shikanje mein the.
Satan Ke Sins
Kaha jata hai ki Devil insaano se “7 Deadly Sins” karwane ki koshish me rehta hai. Aur har ek sin ke liye usne ek Demon ko chun rakha hai. Wah aisa isliye karta hai kyuki insaano ko God ne banaya. Aur wah God ki satta ko chunauti dene ke sath-sath insano ke spirit ko underworld mein kaid karna chahta hai.
Insaano ki jitni zyada spirit Hell me kaid hoti jati hai. Satan ki shaktiyan utni hi zyada tezi se badhti jati hai. Aur thik isi tarah wah God ki banai hui har chiz ko corrupt kar dena chahta hai. Taaki har taraf uska hi raj ho.
Lucifer se judi ek aur manyata hai jo ek secret society se sambandh rakhti hai. Yah society “Illuminati” kehlati hai. Illuminati ke members God ko nahi balki Shaitan ya Satan ki puja karte hain. Aur aisa mana jata hai ki Devil unse apne 7 deadly sins karwata hai. Aur badle mein unhe beshumar daulat aur shohrat deta hai.
Shayad isliye bhi log Narak Ke Devta ki puja karni shuru kar dete hain. Taaki unhe wah sab mil sakey jiski unhe zarurat hai. Bhale hi iske liye galat kaam bhi kyun na karna padein. Devil ka uddeshya yahi hai, wah logon se burey kaam karwa ke apne spirit world aur apni shakti badhata hai.
God yaani ki achchai aur Lucifer ka matlab buraai. Yah dono iss sansaar mein maujood hain aur hamein dekhna hai ki hum kiska rasta chunte hain.
Lucifer ke upar apko kai tarah ke web series aur filmein mil jayenge. Chaliye apko iski bhi puri jankari dete hain.
Lucifer on Netflix

Lucifer naam ka ek show Netflix par bhi maujood hai. Isme ek kalpana ki gayi hai. Wo ye ki Lucifer ko Hell se chhutti lene ka mann kiya aur wah US aa gaya. Yah series apko kaafi pasand aayegi kyuki ye comedy aur mythological dono hi hai.
Lucifer series ke 5 season Netflix par aa chuke hain aur aap kabhi bhi iska anand le sakte hain.
Supernaturals on CW
American TV shows mein Supernaturals ko bahot zyada pasand kiya jata hai. Aur tabhi yah 15 saalon se chalta aa raha hai. Isme Satan aur Humanity ki ladai dikhai gayi hai. Aur yah bhi ki Lucifer apne aap me kitna ghamandi aur chalak tha. Yah series apko iski uniqueness aur deep mythological facts ki wajah se pasand aayegi.
Angels & Demons
Yah ek hollywood ki movie hai jiske Lead Kalakar hain Tom Hanks. Hanks hollywood ke ek behtareen actor hain. Unhone apni har movie mein jaan phoonk di hai. Unki film “Angels & Demons” khas taur par Devil ke followers yaani Illuminati par kendrit hai. Yah movie apko kaafi saari jankari de sakti hai, lihaja bahot pasand aayegi.
To aaj aapne jana Lucifer ke bare mein. Aap kya sochte hain Devil ke bare me aur humara post padh kar apko kaisa laga, hamein zaroor batayein.
Humein pata hai apko Illumintai, Demons aur kaafi chizein confuse kar rahi hongi. Par chinta ki koi baat nahin. Dhirey dhirey hum inn sab ke upar bhi ek acha sa post aapke liye layenge. Tab tak humse judey rahiye.
Dhanyawad !!
Also Read : Aliens Ka Rahasya Aur Roswell UFO Incident Ka Sach
Great post, thanks for sharing!
Glad you liked it.
Keep reading.. 😊
Informative 👍🏻
Thank you.😊
Stay tuned for more interesting content.