
Japan ke rehne wale Daisuke Hori pichle 12 saalon se roz sirf 30 minute so rahe hain. Daisuke ‘Hyogo Prefecture’ mein rehne wale ek 40 saal ke entrepreneur hain. Ab aapko batate hain ki isme ajeeb kya hai.
Darasal Daisuke beete 12 saalon se roz sirf 30 minute so rhe hain. Jahan Health Experts salah dete hain ki humein roz 7-8 ghante ki need puri leni chahie, wahin dusri taraf ek 40 varshiya insaan jo sirf 30 minute sota hai. Japan ke Daisuke Hori ne duniya bhar se sabka dhyan apni or aakarshit kiya hai aur sabka yahi sawal hai ki wo akhir aisa kaise kar paye.
Kaise hua ye sab ?
South Post China ki ek report ke mutabik Takriban 12 saal pehle Daisuke ne apne active hours ko zyada se zyada badhane ke liye apni dincharya mein sone ka waqt ghata kar sirf 30-45 minute karna shuru kr diya aur wah safal huye.
Daisuke apni atrangi lifestyle ko bade hi interesting tarike se samjhate huye batate hain ki zyada sone se behtar hai kam soya jaye par quality neend li jaye. Udaharan ke taur par wah batate hain ki jis tarah doctors aur firefighters aise log hote hain jo bahot kam waqt ki neend le pate hain lekin kaam mein unki high efficiency barqarar rehti hai.
Aage batate chalein ki Daisuke khane se pehle sports aur coffee ki madad se khud ko alert aur active rakhte hain aur thakan dur krte hain. Unhone ye daily routine 12 saalon se apna rakha hai.
Kya yah Healthy Hai ?
Journal of the American Geriatrics mein prakashit hui ek study ke mutabik kam sone wale aur zyada sone wale dimagi taur par takriban 2 saal bade hote hain unki tulna mein jo 7-8 ghante ki puri neend lete hain.
Kam sone ki wajah se health par bahot saare prabhav dekhne ko milte hain. Yahan tak ki physical health ke sath sath mental health par bhi iska dusprabhav pad skta hai.
Kam sona shareer ke immune system ko haani pahunchata hai aur iske karan infections aur beemari ki possibility badh jati hai. Wazan badhne me bhi sahayak hoti hai agar aap kam neend le rhe ho to, kyunki iski wajah se apka metabolism bigad jata hai aur bhukh bhi aniyamitta ka shikar ho jata hai. Yahi nahi, depression aur anxiety ka bhi karan aksar kam neend lena bataya jata hai.
In sab ke alawa, less sleep aapke kaam ki productivity par asar kar skti hai, apka routine affect ho sakta hai aur yah kahin se bhi healthy nahi hai.
Experts ki maane to sone ke pehle humein apna screen time band kar dena chahie, ek comfortable environment create karna chahie jisme hum so sakein aur relaxation techniques practice karni chahie.
Physically aur Mentally, ek achi puri neend lena zaruri hai. Sona shareer ke sabhi angon ko aaram aur detoxify karne ke kaam mein laga deta hai, isliye yah har roz zaruri hai. Sone se hamare sabhi tantra sucharu roop se kaam karne lagte hain aur beemari ka dar kam hota jata hai. Isliye ek healthy lifestyle ke liye 7-8 ghante ki neend zaroor lein.