
ALIENS
Ji haan apne sahi padha. Agar aap is dharti pe rehte hai to aapne apne jeevan me aliens ka naam to zarur suna hoga.
Ab apme se kuch log honge jinhe aliens ke bare me koi idea nahi hoga. To ab un logo ko mai bata doon ki ye kya hote hai. To aliens unhe kaha jata hai jo is dharti ke nahi hote. Jaise ki aap (jinhone ye naam kabhi nahi suna hai). Arrey offend hone ki zarurat nahi hai. Ye to bass ek mazak tha.
Ab thoda serious ho jate hai. Aliens ka rahasya humari duniya me aaj se nahi hai. Ye rahasya bahut saalon se bana hua hai. Aliens yani Pargrahi, wo jeev jo kisi dusre grah ke hote hai. Aur jinke bare me hume koi jankari nahi hoti, unhe hum aliens kehte hai.
Aapne bahut sari science fiction movies me aliens ko dekha hoga jo bahut alag-alag tarah ke dikhte hain. Par asal me aliens kaise dikhte hai ye koi nahi janta.
Ab aap soch rahe honge ki kya ye sirf ek myth hai? To nahi, ye myth nahi hai. Aliens ke bare me bahut sari kahaniya aapko internet par mil jayengi. Aur bahut se logo ka to daawa hai ki unhone aliens ho dekha hai. Ab un daawon me kitni sachchai hai ye to hum nahi jante.
Lekin haan ek baat ye bhi hai ki aliens ke hone ke humare paas kafi sare tathya bhi hai jinhe hum inkar nahi kar sakte. Aliens se juri bahut si kahaniya mashhoor hai. Aur unhi me se ek bahut hi charchit kahani hai Roswell UFO Incident ki. Jo aaj hum apko sunane wale hai. To chaliye shuru karte hai.
Kahani Ki Shuruwat
8 July, 1947 ko Roswell Daily Record naam ke ek newspaper me ek khabar chappi. Jiska shirshak tha, “RAAF captures Flying Soccer on Ranch in Roswell Region”. Matlab US ke Roswell region mein ek Udti hui tashtari dikhai di, jo ki ek spaceship jaisi thi.
Jiske baad aam janta me yah baat aag ki tarah fail gayi. Aur logo ke bich yah charcha ka vishay bhi bann gayi. Yahi wajah thi jisne Roswell UFO Incident ko America ki sabse prasiddha UFO ghatna bana diya.
Roswell UFO Incident
Baat 1947 ki hai. New Mexico ke ek shehar Roswell me, military base ke paas ek UFO crash hua tha. Is baat ki jankari sabse pehle William brazel ko hui thi, jo ki ek kisan tha. Use apne bhedo ke charagah me kisi chiz ka malba mila. Usnne is baat ki jankari Roswell ke sherrif George Wilcox ko di.
Baad me, sherrif ne paas ke Roswell Army Airforce Base ke Colonel “Butch Blanchard” se sampark kiya. Colonel Blanchard ne apne uchch adhikari, General Roger W. Ramey ko alert kiya. Aur 509th Intelligence Officer Jesse Marcel ko aadesh diya ki wo crash site par jaa kar waha ki chhan been kare. Jiske baad Jesse Marcel ne Colonel Blanchard ko apne crash site visit ke bare me bataya.
8 July ki subah Colonel Blanchard ne Public Information Officer Lieuntenent Walter Haut ko aadesh diya ki wo ek press release kare, ye kehte hue ki unhe ek flying soccer ka malba mila hai. Jo ki tez tufan ki wajah se crash ho gaya tha.
Agle din ye khabar Roswell Daily Record naam ke newspaper me bhi chhapi. Jiske baad logo me ye baat kafi teji se fail gayi. Jiske baad Airforce officer ne akhbar ko kaha ki wo is khabar ko badal dey.
Fir kya tha, us akhbar ne agle din ek aur khabar chhapi ki Roswell ke ilake me jo malba mila tha wah koi UFO ka nahi balki ek weather balloon ka tha. Lekin us malbe ko dekh kar koi bhi ye nahi keh sakta tha ki wo malba kisi weather balloon ka hai.
Iske baad log is ghatna ko bhool gaye. Lekin zyada waqt ke liye nahi. Koi tha jise is ghatna ke pichhe ki sachchai janni thi.
30 Saal Baad
Roswell UFO incident ke baad 1978 mein is mamle ne fir se zor pakda. Wajah thi Stanton Friedman jo ki ek UFO Researcher aur Nuclear Physicist the.
Stanton ne Jesse Marcel ka interview liya, wahi Jesse Marcel jo ek Intelligence Officer the aur unhe hi Roswell Crash ka malba jaanchne ke order mile the.
Jesse se interview karne par unhone btaya ki wah abhi bhi yah mante hain ki wah malba koi weather balloon ka nahi balki ek Unidentified Foreign Object (UFO) ka hi tha.
Jesse ne malbe mein paye huye metal ke bare me btaya ki wah cigarette ke foil jitna patla tha, lekin jo baat ajeeb thi wo yah ki aap use naa mod sakte the aur na hi uspe dent laga skte the. Yahan tak ki hathode se waar karne par bhi wah bounce ho jata tha.
Jesse ne aage bataya ki unhone aisa dhaatu pehle kabhi nahi dekha. Aur wah ek Intelligence Officer hone ke naatey har tarah ke aircraft metals aur air travel me istemaal hone wale dhaatu ke bare me jante the. Lekin malbe me mila dhaatu kisi bhi dharti ke dhatu se mel nahi khata tha.
Yah baat chaunka dene wali hai ki aisa dhaatu jiske andar itne gunn ho aur wah dharti ka bhi nahi ho. Aisa dhaatu aaya kaise aur kahan se.
Ho na ho yah alien metal zaroor kisi spaceship ka hissa ho sakta hai.
Govrnment Authorites Ka Cover-up
Stanton ne Jesse ke baad Military aur uske alawa bhi kaafi logon se puchtach ki aur uske baad jo pata chala usse aapke hosh udd jayenge.
Stanton ne paya ki yah government authorities ka ek bahot bada cover-up tha aur isme sirf malbe ko hi nahi balki Alien Bodies ko bhi chhupaya gaya tha.
Ab aap samajh sakte hain ki Military ne logon ki nazar me aane se bachne ke liye kitna bada cover-up kiya. Kyuki agar yah baat fail jati to gadbad ho sakti thi. Shayad yahi soch kar isey itni achi tarah se chhupaya gaya tha.

American Airforce Ki Report
1994 me American Airforce ne ek report jari k. Jisme unhone yah mana ki “Weather Balloon” ki kaahani farzi thi.
American Airforce ke anusaar Roswell me mila malba ek Spy device ka tha. Jo ki Project Mogul naam ke ek Classified Project ke liye banaya gaya tha.
Yah device asmaan me high-altittude par rakha jane wala balloon tha. Jisme microphones aur radio transmitters attached the.
Jise USSR par tezi se tairne ke liye design kiya gaya tha. Jiska maksad ek gupt doori par dhwani tarango ka pata lagana tha. Yah balloons Soviet sarkar ke apne khud ke atomic bomb ke parikshan ke prayaso ki tiwrata se nigrani karne ke liye banaya gaya tha.
Project Mogul ek secret operation tha. Isliye report me dawa kiya gaya ki ghatna ki ek jhuthi wyankhya unke secret project ko ujagar hone se rokne ke liye jaruri thi.
To aaj aapne jana Roswell UFO Incident ke bare me. Yah thi itihaas ki sabse pehli, badi aur sabse rahasyamayi Alien ghatna. Isi tarah kaafi vaardatein hui hain aur bahot saare logon ne aliens aur UFO dekhne ka dawa kiya hai.
Hum aapke liye isi tarah ki rahasya se bhari kahaniyan leke aate rahenge. Aap ko acha laga to humein comment mein zaroor batayein.
Milte hain. Dhanyawad!
Great post
Thank you..😊
Thankyou for letting us know about this topic…waiting for ur next article☺️
Thank you so much ☺️❤️
Glad you liked it.
Stay tuned for more awesome content.
Nice article
Thanks for reading our article.❤️